ILahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban ke Aya Hoon
Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon Lyrics
Zahir ki ankh se na tamasha kare koi,
Ho dekhna to deeda-e-dil wah kare koi,
Parh bethay kiya samajh ker bhala toor per kaleem
Takkat ho deed ki to taqaza kare koi
Ilahi teri chokhat per bhikari ban ker aya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,
Bhikari woh ke jis ke paas jholi hai na payala hai,
Bhikari woh jisey hiras-o-hawas nay maar dala hai,
Mata-e-deen-o-danish, nafs ke hathon se lutwa ker.
Sakoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhent charha ker,
Lutta ker sari poonji ghaflat-o-issyan ki daldal mein,
Sahara lene aya hoon tere kaabay ke aanchal mein,
Gunahon ki lipatt sey, kaynat-e-qalb afsurda,
Iraaday muzmehehal, himmat shikasta hoslay murda,
Kahan say laoon takat dil ki sachi tarjumani ki,
Ke kis jhanjhal mein guzri hein ghariyan zindagani ki.
Khulasa yeh ke bus jull bhun ker apni roo-sayahi sey,
Sarapa faqr ban ker apni haalat ki tabahi sey,
Tere darbar mein laya hoon apni ab zaboon-haali,
Teri chokhat ke laeq har amal se hath hein khali,
Yeh Tera ghar hai ye Tere mehr ka darbar hai Maula
Sarapa noor hai, ik mohbat-e-anwaar hai Mola.
Teri chokhat ke jo adab hein, main unn se khali hoon,
Nahi jis ko saleeqa manganey ka, woh sawali hoon
Zuban ghalt-e-nadamat dil ki na’kas tarjumani per,
Khudaya reham meri iss zaban-e-ijz-zabani per,
Ye ankhein khushk hein, Ya Rabb inhein rona nahi aata,
Sulagtay daagh hein dil mein jinhein dhona nahi aata.
Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon.
Lyrics & Video Information:
Artist: Junaid Jamshed
Video Title: Multazim Par
Kalaam By: Mufti Taqi Usmani
Album: Jawa-e-Janaan
Junaid Jamshed was a prominent figure in the world of naat khawani. He initially gained fame as a musician and later transitioned into a naat khawan. Junaid Jamshed was known for his soulful voice and captivating recitations. He released numerous naat albums and his naats were widely appreciated by audiences. His contributions to naat khawani earned him recognition and respect in the Islamic music industry. Unfortunately, Junaid Jamshed passed away in a tragic plane crash in 2016, leaving behind a legacy of beautiful naats that continue to inspire and resonate with listeners.
Junaid Jamshed: Revered Naat Khawan and Spiritual Luminary. Embark on a soulful journey through Junaid Jamshed's heartfelt naats. His resonant voice and profound devotion bring alive the essence of Islamic spirituality, invoking love and veneration for the Prophet Muhammad (PBUH) through deeply moving recitations that touch the heart and soul.
Junaid Jamshaed Naats Play list
Aei Rasool-E-Amin by Junaid Jamshed
Ya Taiba, Aiy Taiba by Junaid Jamshed
Surah Al Baqra Tilawat by Junaid Jamshed
Qasida Burda Shareef (Arabic) by Junaid Jamshed
Aei Rasool-E-Amin by Junaid Jamshed
Meetha Meetha Pyaara Pyaara Mere Muhammad ka Nam by Junaid Jamshed Naat Sharif
Mohabbat kya hai dil ka dard say mamoor ho jana by Junaid Jamshed Naat Sharif
Ye Subh-e-Madina, Ye Shaam-e-Madina,Mubarik Tujhe Ye Qayam-e-Madina
Tu Ne Poochi Hai Imamat Ki Haqeeqat Mujhe Se
Na Koi Aap Sa Ho Ga, Na Koi Aap Jaisa Tha
Muhammad (Sal Allaho Alehi Wasallam) Ka Roza Qareeb AA Raha Hai NEW
Muhammad (Sal Allaho Alehi Wasallam) Ka Roza Qareeb aa Raha Hai
Jalwa-e-Jaana- Maula Ya Salle Wasallim
Jagah Jee Laganey Ki Duniya Nahi Hai, Ye Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahi Hai
ILahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban ke Aya Hoon
noman
Nice dua